Iss ghalat fehmi ko iss tarah duur kya jasakta hai.
Tanau (erection) honay per fard aaeyney kay samney khara ho kar side sey apney zakar ko dekhey to uss ki ghalat fehmi duur ho jaey gi.
Akrey huey zakar ki paemana sey aazma'esh kar li jaey to bhi ghalat fehmi duur ho jaey gi. Khushkhabri yeh hai kay aksar afraad ka zakar unn kay apney khayal sey bara hota hai.
Agarcha zakar ki lambaee ka koi meyar nahin ta'hum ek survey kay mutabiq America mein 50% logon ka zakar 5 inch sey kam hota hai aur lambey sey lamb 13 inch ka. Magar wahan 4 inch ka akrra hua zakar normal mil jata hai. Pakistan mein 3 inch ka akrra (erected) hua zakar normal samjha jata hai. Qadd kaath ka zakar ki lambaee kay sath koi ta'alluq nahin. Albatta hathon kay size ka zakar kay size kay sath kuch ta'alluq hai. Amooman barey hathon waley afraad kay zakar lambey hotey hain. Mahireen ka khayal hai kay woh zakar jo faraj (vagina) mein dakhil ho jaey normal hai. (Hyde).
Kya Aurtein Lamba Zakar Pasand Karti Hain?
Aam mardon ka khayal hai kay bara zakar behter hai kyun kay aurtein lamba zakar pasand karti hain, jab kay aurtein zakar kay size kay hawaley sey kam hi sochti hain. Bohut kam aurtein lambey zakar ko pasand karti hain. Hite ki research kay mutabiq aksar aurtein chotey zakar ko pasand karti hain. Ek aur research sey ma'aloom hua kay aurton ko ausat (average) size ka zakar pasand tha.
Bohut lamba zakar kisi bhi aurat ko pasand na tha kyun kay bohut lamba zakar bacha dani kay mu'nh per zarb lagata hai jis sey aurat ko takleef hoti hai. Isi liye bohut lambey zakar waley afraad nakhush hain, kyun kay unn kay lambey zakar ko dekhtey hi aurton ney mubashrat sey inkar kardiya, isliye unn ki khwahish thi kay kaash unn ka zakar chota hota. (Hite).
Yeh khayal bhi aam hai kay bharpoor jinsi lutf, khushgawar azdawaji zindagi aur biwi ko mutma'en karney kay liye lambey zakar (penis) ki zaroorat hai. Haqeeqat yeh hai zyada jinsi lutf aur biwi ki tasalli ka zakar ki lambaee kay sath koi ta'alluq nahin, kya lambi naak sey insaan ko zyada khushbuu aati hai ya kya barri aankhon sey zyada nazar aata hai. Aurat ko gosht nahin bul kay ek mohabbat karney waley insaan ki zaroorat hai. Waisey mubashrat mein zakar ki lambaee kay bajaey uski sakhti zyada ahem hai aur chota zakar nisbatan zyada sakht hota hai. Yani iss mein zyada tanau (erection) hota hai. Mazeed aurat ki faraj ka size 3 ta 4 inch hota hai aur faraj ka sirf baerooni 1/3 hissa yani pehla 1 ta 1.5 inch hissa hi zyada hassas hota hai. Iss ka peechey wala hissa zyada hassas nahin hota. Hassas hissey tak 3 inch ka zakar bohu aasani sey pohonch jata hai. Mahireen ka khayal hai kay agar mard kay zakar ki lambaee 2 inch sey kuch zyada ho to yeh aurat ki faraj kay hassas hissey tak aasani sey pohonch jata hai jis sey aurat bharpoor lutfandoz hoti hai. (Kothari).
Kya Zakar Ko Masnooee Tariqey Sey Lamba Kya Ja Sakta Hai?
Zakar ko lamba karney ki bohut si koshishein hui hain magar kaamyaabi nahin ho saki. Ba'az auqaat jarr kay ird gird ka gosht kaat diya jata hai jis sey is ski lambaee mein ma'amooli sa farq parr jata hai. Yeh bhi ek dhoka hai kyun kay asal zakar ki lambaee mein to koi izafa nahin hota. Ba'az log vacuum waghaera sey zakar ko lamba karney ka da'awa kartey hain iss ki madad sey 5 % tak ka izafa ho sakta hai jo kay na honay kay baraber hoga. Iss tarah ba'az ishteharo'n mein organ developer ka zikr hota hao iss ki bhi koi haqeeqat nahin, qissa mukhtasir yeh kay zakar ki lambaee mein izafa nahin kya ja sakta aur na hi iss ki zaroorat hai. (Reuben)
Sukrra Hua Bohut Chota Zakar:
Ba'az afraad ka narm zakar (penis) bohut hi chota hota hai lekin tanau (erection) mein ek ma'aqool hudd tak lamba ho jata hai. Ba'az naujawan iss fitri soorat e haal sey bhi bohut pareshan ho jatey hain. Zakar (penis) darasal radio kay antenna ki tarah hai, jisey zaroorat kay waqt lamba kya ja sakta hai. Zaroorat na ho to chota ho jata hai ta'kay yeh fard kay chalney phirney ki activities mein rukawat na baney. Lehaza yeh koi masla nahin. Dilchasp baat yeh hai kay agar sukrra hua zakar zyada chota hai to tanau mein woh nisbatan zyada lamba ho jata hai aur sukrra hua lamba zakar tanau mein kam lamba hota hai. Maslan ek fard ka sukrra hua zakar 2 inch ka hai to tunn kar woh 4 inch ka ho jaey ga doosri taraf 3 inch ka sukrra hua zakar tanau mein 4.5 inch ka hoga.
Chotey Zakar Sey Aulaad Paeda Nahin Hoti…?
Merey clinic mein ek naujawan client aaya jo kay bohut fikrmand aur pareshan tha. Jis ki haal hi mein shadi hui thi woh pareshan iss liye tha kay uska zakar bohut chota tha. Uska khayal tha kay chotey zakar sey aulad paeda nahin hoti. Yeh ek bilkul ghalat tasawwur hai kay aulad ki paeda'esh kay liye lamba zakar hona zaroori hai. Mani (semen) ko agar chamach mein daal kar faraj (vagina) kay ander daal diya jaey to bhi bacha paeda ho jaey ga. Iss tarah chotey sey chota zakar bhi bachey ki paeda'esh mein koi rukawat nahin. Doosrey alfaz mein zakar kay size ka aulad ki paeda'esh kay sath koi ta'alluq nahin. (kothari).
Zakar Ka Mota Hona Zaroori Nahin:
Zakar ki lambaee kay elawa bohut sey naujawan uski motaee kay hawaley sey bhi ghalat fehmi ka shikar aur pareshan hain. Inn ka khayal hai kay aurat kay bharpor jinsi lutf kay liye zakar ka mota hona zaroori hai. Iss mein bhi koi haqeeqat nahin. Zakar ki lambaee ki tarah zakar ki motaee bhi mukhtalif logon ki mukhtalif hoti hai. Faraj (vagina) darasal khali tube ya syringe ki tarah koi khula rasta nahin hai bul kay yeh ek bund gali hai jis ki donon deewarein aapas mein mili hoti hain. Jinsi haejaan mein faraj ka baerooni 2/3 hissa phool kar faraj kay mu'nh ko mazeed tung kar deta hai, iss soorat mein agar faraj kay ander suii bhi dakhil I jaey to aurat ko iss ka poora ehsaas ho ga. Lehaza kamyaab aur khushgawar mubaashirat kay liye zakar ki motaee ki koi khas ahmiyat nahin.
Zakar Ki Kamzori Ki Alamat:
Zakar Jarr Se Patla Hona:
Majeed ek naujawan client tha. 24 sala majeed ki haal hi mein shadi honay wali thi woh sakht fikrmand tha kyun kay uska zakar jarr sey patla tha. Uska khayal tha kay yeh mardana kamzori ki alamat hai, amooman aksar afraad ka zakar jarr sey patla aur ooper sey mota hota hai. Naujawan isey kamzori samajhtey hain neem hakeem iski wajah musht zani (masturbation) qarar detey hain hala'n kay yeh ek normal jismani haqeeqat hai na kay koi kharabi, lehaza pareshan honay ki zaroorat nahin. Darasal zakar ek ghubbarey ki tarah hai jo pubic bone kay sath jurra (fix) hota hai. Jab iski naliyon mein khoon daurta hai to yeh akarr jata hai magar chu'n kay neechey waley hissey mein zyada khoon nahin hota jis ki wajah sey nichla hissa kuch patla jab kay ooper wala hissa nisbatan zyada phool jata hai. Iss tarah ba'az afraad ka zakar darmiyan mein sey qadrey patla hota hai yeh bhi koi beemari nahin na hi iska elaj karaney ki zaroorat hai. Iski wajah yeh hoti hai kay ba'az afraad kay zakar ki naliyan darmiyan mein kuch patli hoti hain jis ki wajah sey wahan zyada khoon nahin jata aur wahan sey zakar kuch patla reh jata hai magar inn logon ko mukammal tana'u hota hai. (mubeen)
Baloghat mein har naujawan kay zer e naaf baal ugg aatey hain jo kay baloghat ki nishani hai. Islam mein inn baalo'n ko har 15 din ba'ad saaf karney ka hukum hai. Ba'az logon ka khayal hai kay safaee kay elawa iss sey mardana quwwat mein bhi izafa hota hai. Ba'az auqaat zakar kay neechey waley hissey yani jarr per bhi baal ugg aatey hain. Iss surat mein bhi pareshan honay ki zaroorat nahin kyun kay yeh koi kharabi ya beemari nahin. Iss tarah mardon ki chaati per bhi baal hotey hain, kisi kay zyada, kisi kay kam aur kisi kay nahin bhi hotey. Yeh sab kuch normal hai albatta agar kisi fard kay chehrey aur zer e naaf baal na aaein to kisi achey doctor sey mashwara karein magar iska bhi fard ki mardana quwwat kay sath koi ta'alluq nahin. (mubeen).
Zakar Ka Ek Taraf Jhuka Hona Kamzori Ki Alamat…?
Aksar naujawanon ka khayal hota hai kay zakar ko pencil ki tarah seedha hona chahiyie na kay da'ein, ba'ein, ooper ya neechey ko jhuka hua. Akrra hua zakar da'ein taraf ko terha hota hai ya ba'ein taraf ko. Kisi ka ooper aur kisi ka neechey jhuka hota hai. Bohut hi kam logon ka akrra zakar bilkul seedha hota hai. Aisa hona bhi mushkil hai kyun kay zakar haddi ya kisi sakht cheez ka bana hua nahin hota (agarcha ba'az janwaron kay zakar mein haddi hoti hai) bulk ay narm gosht ka bana hota hai. Jab iss mein zyada khoon jata hai aur doosri taraf kam khoon nikalta hai to yeh akarr jata hai aur phir yeh kisi na kisi taraf murr jata hai. Amooman 85% logon ka zakar baei'n taraf ko terha hota hai, isi tarah amomman fard ka baya'n khusya (testicle) daei'n sey kuch neechey hota hai.
Amooman 1 cm. Fard kay zakar ka taerha pan koi beemari nahin, yeh ek bilkul normal, fitri amar hai. Iss wajah sey dakhool (penetration) mein koi diqqat nahin hoti. Jab kay neem hakeem isey khatarnaak beemari samajhtey hain, jis ki wajah mushtzani (masturbation) ko qarar detey hain. Agar aap apni ungliyon ko akrra kar dekhein to woh bhi pencil ki tarah seedhi nahin hala'n kay innkay ander haddiyan hoti hain. Lehaza iss hawaley sey pareshan honay ki zaroorat hai aur na hi elaj ki. Albatta agar zakar bohut terha (45 ka zawiya) ho to yeh ek beemari hai. 'Peyronie's' hai ta'hum iski wajah bhi musht zani nahin. Yeh beemari amooman darmiyani umr kay mardon ko hoti hai. Ba'az auqaat yeh beemari achanak ho jati hai. Yani fard jab raat ko soya to woh bilkul theek tha magar jab subah jaga to zakar terha ho gaya. Iss surat mein zakar jar sey sakht aur ooper top per narm hota hai. Iss ka elaj amooman vitamin E sey kya jata hai. Aksar yeh elaj kay baghaer 6 maah tae k saal mein khud hi theek ho jata hai. Isliye elaj kay liye jaldi karney ki zaroorat nahin. Ta'hum behter yeh hai kay kisi acheydoctor sey mashwara kar lein.
Agar zakar thorey sey kuch zyada terha hai magar beemari nahin to yeh khush bakhti hai kyun kay iss surat mein ya to faraj (vagina) ki sides ko rugrrey ga jo zyada hassas hoti hain aur aurat ko zyada lutf aaey ga ya phir G spot ko jo kay aurat ka doosra hassas tareen jinsi maqam hai jis ko rugerrney sey taqreeban 50% aurtein pani kharij karti hain.
Ek homeo doctor ney apni kitab mein likha kay zakar ka terha pan khatarnaak beemari hai jis ki wajah musht zani hai aur iss kay elaj ki zaroorat hai. Meine inn ko khat likha "doctor sahib aap apni shalwar utarein aur eeman dari sey dekhein kay kya aap ka zakar bilkul seedha hai" abhi taki jawab nahin aaya.
Zakar Kay Ooper Ubhri Rugein Mardana Jinsi Kamzori Ka Sabab:
Fard kay zakar mein tanau tab paeda hota hai jab uski khoon ki naliyan khulti hain aur zyada miqdar mein khoon inn naliyon mein dorta hai aur doosri taraf nisbatan kam khoon baher nikalta hai iss wajah sey khoon ki yeh naliyan numayan ho jati hain aur phool jati hain. Yeh naliyan jitni zyada khulein gi itna hi zyada khoon inn mein daakhil ho ga aur nateejatan tanau itna hi zyada aur jald hoga. Yeh ek bilkul normal aur mufeed kaifiyat hai. Neem hakeemon ki wajah sey naujawanon ki aksaryat isey bhi khatarnaak beemari aur kharabi samajhti hai. Iss ki bari wajah musht zani bataee jati hai jab kay iss ki koi haqeeqat nahin kyun kay woh afraad jinhoney kabhi musht zani nahin kii unn kay zakar ki naliyan bhi ubhri hoti hain.
Darasal jism kay har hissey mein jild kay neechey khoon ki naliyan (veins) hoti hain. Jism kay jin hisson mein charbi hoti hai wahan yeh saaf nazar nahin aatiin jaisey bazu waghaera magar jahan charbi nahi hoti wahan yeh saaf nazar aati hain. Zakar kay elawa hath ki pusht per bhi yeh naliyan amooman saaf nazar aati hain. Ba'az logon ki yeh naliyan zyada numayan hoti hain aur ba'az ki kam. Jin kay hathon ki naliyan zyada numayan hoti hain kya unn kay hath zyada kamzor hotey hain. Woh aurtein jin kay hath gudaaz hotey hain unn kay hath ki naliyan nazar nahin aatiin to kya unn kay hath mardon kay hathon sey zyada taqatwer hotey hain. Zahir hai kay aisa nahin. Lehaza zakar ki naliyon ka nazar aana bhi koi beemari nahi aur na hi koi fard iss sey jinsi tor per kamzor hota hai. Albatta khusya dani (scrotum) ki naliyan agar bohut zyada numayan hon to yeh ek beemari Varicose hai jis sey kuch logon ko banjhpan (infertility) ho sakta hai magar lazmi nahin. Iss surat mein kisi achey urologist sey mashwara kiya jaey.
Zakar Per Massey:
Kisi bhi sehatmand insaan kay jism kay kisi bhi hissey per massey nikal saktey hain. Aam haalaat mein hum iss kaifiyat sey pareshan nahin hotey khwah yeh massey chehrey per hi kyun na hun. Isi tarah zakar per masson ka namoodaar hona bhi aam si baat hai na kay koi beemari. Yeh massey jinsi salahiyat (mardana quwwat) ya jinsi amal per kisi tarah sey asarandaz nahin hotey, lekin la ilmi ki wajah sey aam naujawan inn masson per pareshan ho jatey hain. Yeh massey aasani sey nikaley ja saktey hain aur agar na bhi nikaley jaei'n to bhi koi harj nahin.
Zakar Per Sakht Gatthey Parr Jana:
Amooman adherh umer kay ba'az logon kay zakar mein sakht qism kay gatthey ya gaanthein ban jati hain, yeh ek beemari hai jis ka pehli baar zikr ek French surgeon ney kya. Inn ki wajah sey zakar ka tanau muta'assir hota hai.
Jab thori bohut erection hoti hai to fard ko nehayat takleef hoti hai jis ki wajah sey fard mubashrat nahin kar sakta kyun kay usey shadeed jismani aur zehni koft hoti hai. Abhi tak iska koi mu'asser elaj daryaft nahin hua lekin yeh beemari bohut hi kam hai.
Instant Erection - Fori Tanau:
Aksar afraad ka khayal hai kay fard ko bijli kay bulb ki tarah fori tanau hona chahiyie. Jab aisa nahin hota to isey jinsi kamzori samajhtey hain aur pareshan ho jatey hain. Naujawanon ka tanau 20 saal ki umer tal fori hota hai magar phir umer kay barhney kay sath batadreej kam hota jata hai yani shuru mein tanau fori hota hai 40 saal ki umer kay ba'ad qadrey takheer sey hota hai. 60 saal ki umer kay ba'ad zara der sey hota hai. Yeh bhi hosakta hai kay iss umer mein tanau kay liye biwi kay chuney aur sehlaney ki zaroorat parey. Yeh sab kuch normal amal (function) hai. Taza tareen research sey ma'aloom hua hai kay 20 saal ki umer mein fard ko fori tanau hota hai. 50 saal kay ba'ad jawani sey do guna aur 70 saal kay ba'ad teen guna waqt darkaar hota hai. Yeh sab kuch normal hai na kay koi beemari.
Ba'az auqaat kuch afraad iss wajah sey pareshan ho jatey hain kay shayad unn kay zakar ka tanau kafi nahin aur shayad woh mubaashirat kay qabil nahin. Hala'n kay unn kay paas tanau mapney aur janchney ka koi paemana aur meyar nahin. Yeh sirf unn ka khayal hota hai kay unn ka tanau kafi nahin.
Tanau ka ek hi meyar hai agar mian mubashrat kay waqt apney zakar ko biwi ki faraj mein dakhil kardey to uss ka tanau bilkul normal hai. Ta'hum ek baat yaad rahey kay insaani zakar kisi sakht cheez ya haddi ka bana hua nahin hai bul kay yeh narm gosht ka bana hua hai jo kay khoon ki naliyon mein zyada khoon janey sey tunn jata hai aur sakht ho jata hai. Tanau ki surat mein zakar kay bohut zyada sakht honay ki tawaqqa nahin ki ja sakti. Yeh ek bilkul normal kaifiyat hai.
Tanau Kay Waqt Zakar Mein Dard (Painful Erection):
Ba'az naujawan zakar mein tanau kay waqt dard mehsoos kartey hain iss ki wajoohaat mein zyada aam wajah maqami chot, ulcer, peeshab ki nali ya prostate gland mein sozish hai. Iss kay elawa zakar ka bohut zyada terha pan Peyroie's Disease hai. Iss surat mein kisi achey urologist sey raabta karein.
Kamyaab Jinsi Amal Kay Liye Zakar Ka Bohut Sakht Hona Zaroori Hai…?
Aksar naujawanon ka khayal hai kay biwi ki jinsi tasalli (sexual satisfaction) kay liye zakar ka bohut sakht hona zaroori hai. Allah Ta'ala ney zakar bohut hi narm o nazuk faraj mein dakhil honay kay liye banaya hai na kay deewar mein soorakh karney kay liye. Ta'hum 17 ta 19 saal ki umer mein fard ka zakar tanau mein bohut sakht (hard) hota hai. Iss umer mein isey jins e mukhalif kay liye istaemal nahin kya jata, chunancha adam istaemaal aur umer kay barhney kay sath sath iss ki sakhti mein qadrey kami aa jati hai jo kay ek bilkul normal amal hai.
Aurat ki jinsi taskeen kay liye zakar kay sakht akrrao (hardness) ki hargiz zaroorat nahin. Hyte report sey bhi yehi sabit hua kay aurton ki aksaryat bohut sakht zakar aur zordaar jhatkon aur zarbaat (strokes) ko pasand nahin karti. Zakar ko kisi qadar sakht hona chahiyie, ta'hum iss ka koi paemana nahin. Iss ka ek hi meyar hai kay faraj mein daakhil ho jaey.
Tanau Mein Pehley Sey Kami (Less Erection) Jinsi Kamzori Ki Alamat…?
Kuch afraad jab unn ki umer 30 saal sey zyada ho jati hai to woh apney jinsi jazbaat ki shiddat mein kuch kami aur zakar kay tanau ki taaqat (strength) mein 17/18 saal ki umer ki nisbat qadrey kami mehsoos kartey hain, jo agarcha bohut ma'amooli hoti hai magar yeh afraad pareshan ho jatey hain. Jinsi jazbaat ki shiddat aur zakar ka tanau aur akrrao (hardness) 15 aur 20 saal ki umer kay doran bohut zyada hota hai. Neem hakeem iss ma'amooli kami ka ba'es mushtzani ya kasrat-e-jama'a (frequent intercourse) ko qarar detey hain. Yeh kaifiyat aur ma'amooli kami pareshani ka sabab nahin honi chahiyie kyun kay umer kay barhney kay sath sath jism kay har uzu ki taqat mein kami aa jati hai. Yeh cheez khel kay maedan mein bohut numaya'n hai. Aksar khelon kay numaya'n khilarri 20/25 saal ki umer kay lug bhug hotey hain. Magar 25 saal kay ba'ad inn ki karkardagi (strength) pehley ki tarah nahin rehti. International khelon mein 30 saal sey zyada umer ka khilarri shazz hi hota hai.
Yani 30 saal ki umer mein fard jismani tor per 20 saal ki umer ki tarah mu'asser (efficient) nahin hota. Agarcha iss ki karkardagi bilkul khatam nahin ho jati. Zakar kay sath bhi yehi mu'amla hai. Yani umer kay barhney kay sath doosrey jismani a'aza ki tarah jinsi jazbaat ki shiddat aur zakar kay tanau aur sakhti mein qadrey kami aa jati hai. Yeh ek fitri amal hai jis sey pareshan honay ki zaroorat nahin. (zakar ki sakhti mein kami kay bawajood agar fard ki amoomi sehat theek hai to woh martey dum tk mubashrat kay qabil hota hai, agarcha 60 saal kay ba'ad ba'az logon ko shakhsi (self) ya biwi ki taraf sey ishte'aal (stimulation) ki zaroorat parrti hai).
Kya Apni Marzi Sey Tanau Paeda Kya Ja Sakta Hai…?
Ba'az naujawanon ka khayal hai kay jis tarah fard apni marzi sey jab chahey apni ungli ya bazu ko khara krsakta isi tarah woh apni marzi sey jab bhi chahey apney zakar ko akrra sakta hai. Magar jab woh aisa nahin kar pata to pareshan ho jata hai aur apney aap ko jinsi tor per kamzor aur na mard khayal karta hai. Yeh baat zehen mein rakhein kay tanau ka ta'alluq fard kay dimagh aur jism kay sath hai aur yeh tanau apni marzi, khwahish aur hukum (order) sey paeda nahin kya ja sakta yani koi fard humesha apni marzi sey tanau paeda nahin karsakta. Isi liye mahireen kehtey hain kay apni marzi sey har cheez hasil ki jasakti hai siwaey tanau kay. Darasal yeh bhook ki tarah ka ek uzwiati (physiological) amal (process) hai jis tarah koi fard apni marzi sey bhook paeda nahin kar sakta isi tarah.
Tanau (erection) bhi apni marzi sey paeda nahin kya ja sakta. jis tarah bhook paeda honay kay liye munasib uzwiati aur maholi (environmental) halaat (circumstances) zaroori hain, isi tarah tanau (erection) paeda karney kay liye bhi munasib uzwiati aur maholi muhij (stimulus) ka hona zaroori hai. Fard sirf uss waqt bhook mehsoos karta hai jab khana khaey kuch waqt guzar gaya ho. Iss kay elawa mahol aur khana kitna hi acha aur lazeez ho yeh awamil bhi bhook per asar andaz hotey hain. Isi tarah zakar (penis) mein tanau (erection) jab hoga jab fard jins (sex) kay hawaley sey sochey ga, parhey ga, dekhey ga, suney ga ya lums mehsoos karey ga waghaera. Yeh cheezein tanau (erection) kay liye muheej hain. Kyun kay kisi bhi fard ko apney tanau (erection) per control nahin. Isliye ba'az auqaat fard ko kisi namunasib jagah maslan class room ya ghar mein maan baap kay samney tanau ho jata hai. Jisey woh shaoori tor per khatam nahin kar sakta aur sharminda hota hai. Yani tanau per fard ko shaoori control nahin. Iss tarah naujawan apney tanau ko check karney kay liye kisi paeshawar aurat kay paas jatey hain, magar wahan kkoshish kay bawajood unn ko tanau nahin hota aur phir unn ko yaqeen aa jata hai kay woh biwi kay qabil nahin. Guzishta dinon merey paas ek naujawan larka elaj kay liye aya. Isey yaqeen tha kay woh na mard hai jab uss ka nafsiyati tajziya kya gaya to ma'aloom hua kay uss ko kaee baar zina ka moqa mila. Uss ney koshish bhi ki magar ehsas-e-gunah aur khauf ki wajah sey usey tanau hi na hua.